wo ek ik baat pe rone laga tha
vo ik ik baat pe rone lagā thā
samundar aabrū khone lagā thā
lage rahte the sab darvāze phir bhī
maiñ āñkheñ khol kar sone lagā thā
churātā huuñ ab āñkheñ ā.inoñ se
ḳhudā kā sāmnā hone lagā thā
vo ab ā.īne dhotā phir rahā hai
use chehre pe shak hone lagā thā
mujhe ab dekh kar hañstī hai duniyā
maiñ sab ke sāmne rone lagā thā
wo ek ek baat pe rone laga tha
samundar aabru khone laga tha
lage rahte the sab darwaze phir bhi
main aankhen khol kar sone laga tha
churaata hun ab aankhen aainon se
KHuda ka samna hone laga tha
wo ab aaine dhota phir raha hai
use chehre pe shak hone laga tha
mujhe ab dekh kar hansti hai duniya
main sab ke samne rone laga tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.