wo ek jhalak wo mauj mujh mein aa ke sab baha gai
vo ik jhalak vo mauj mujh meñ aa ke sab bahā ga.ī
daraḳht jaane kyā hue nadī kahāñ samā ga.ī
jahāñ meñ ye ajab nahīñ diyā jale havā chale
bas is pe ġhaur kījiye diyā bujhā havā ga.ī
mire chalā.e tiir jaane kaise mujh ko aa lage
mirī uḌaa.ī ḳhaak mujh ko ḳhaak meñ milā ga.ī
fareb-e-ishq meñ jo thī badan ko ik badan kī bhuuk
ye bhuuk itnī baḌh ga.ī ki phir mujhe hī khā ga.ī
tirā ḳhayāl phuul hai ki tujh ko sochte hue
koī mahak kahīñ se aa ke chāroñ or chhā ga.ī
mirā safar qiyām māñgtā hai mere ham-safar
tū apnī soch aage baḌh mirī sarā.e aa ga.ī
wo ek jhalak wo mauj mujh mein aa ke sab baha gai
daraKHt jaane kya hue nadi kahan sama gai
jahan mein ye ajab nahin diya jale hawa chale
bas is pe ghaur kijiye diya bujha hawa gai
mere chalae tir jaane kaise mujh ko aa lage
meri uDai KHak mujh ko KHak mein mila gai
fareb-e-ishq mein jo thi badan ko ek badan ki bhuk
ye bhuk itni baDh gai ki phir mujhe hi kha gai
tera KHayal phul hai ki tujh ko sochte hue
koi mahak kahin se aa ke chaaron or chha gai
mera safar qiyam mangta hai mere ham-safar
tu apni soch aage baDh meri sarae aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.