wo ek lafz jo be-sada jaega
vo ik lafz jo be-sadā jā.egā
vahī muddatoñ tak sunā jā.egā
koī hai jo mere ta.āqub meñ hai
mujhe merā chehra dikhā jā.egā
vo ik shaḳhs jo dushman-e-jāñ sahī
magar phir bhī apnā kahā jā.egā
jalegī koī mish.al-e-jāñ abhī
magar phir añdherā sā chhā jā.egā
nafi-e-jur.at-e-haq-numā.ī sahī
magar kab kisī se kahā jā.egā
yahāñ ik shajar muntazir sā bhī hai
ab āḳhir kahāñ tak chalā jā.egā
maiñ vo mish.al-e-nīm-shab huuñ 'amīr'
jise kal kā sūraj bujhā jā.egā
wo ek lafz jo be-sada jaega
wahi muddaton tak suna jaega
koi hai jo mere taaqub mein hai
mujhe mera chehra dikha jaega
wo ek shaKHs jo dushman-e-jaan sahi
magar phir bhi apna kaha jaega
jalegi koi mishal-e-jaan abhi
magar phir andhera sa chha jaega
nafi-e-jurat-e-haq-numai sahi
magar kab kisi se kaha jaega
yahan ek shajar muntazir sa bhi hai
ab aaKHir kahan tak chala jaega
main wo mishal-e-nim-shab hun 'amir'
jise kal ka suraj bujha jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.