wo ek nigah jo be-iKHtiyar karti hai
vo ik nigāh jo be-iḳhtiyār kartī hai
diloñ ko dard kā ummīd-vār kartī hai
vahī sulūk mire dil se tum bhī kyoñ na karo
chaman ke saath jo fasl-e-bahār kartī hai
nigāh-e-shauq ko duuñ kaun-sī sazā yā-rab
ye dil kā rāz-e-nihāñ āshkār kartī hai
samajh sakā na koī fitrat-e-mohabbat ko
ye us ko phūñktī hai jis ko pyaar kartī hai
mujhe to chain nahīñ hai kashākash-e-ġham se
vo shai hai kyā jo tumheñ be-qarār kartī hai
na aa.e tum to shikāyat mujhe nahīñ lekin
ye chāñdnī jo mujhe sharmsār kartī hai
ġhurūr-e-ishq bahut ho chukā 'adīb' bahut
vo bazm ab bhī tirā intizār kartī hai
wo ek nigah jo be-iKHtiyar karti hai
dilon ko dard ka ummid-war karti hai
wahi suluk mere dil se tum bhi kyon na karo
chaman ke sath jo fasl-e-bahaar karti hai
nigah-e-shauq ko dun kaun-si saza ya-rab
ye dil ka raaz-e-nihan aashkar karti hai
samajh saka na koi fitrat-e-mohabbat ko
ye us ko phunkti hai jis ko pyar karti hai
mujhe to chain nahin hai kashakash-e-gham se
wo shai hai kya jo tumhein be-qarar karti hai
na aae tum to shikayat mujhe nahin lekin
ye chandni jo mujhe sharmsar karti hai
ghurur-e-ishq bahut ho chuka 'adib' bahut
wo bazm ab bhi tera intizar karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.