wo ek nigah jo le kar mera qarar gai
vo ik nigāh jo le kar mirā qarār ga.ī
qasam ḳhudā kī mirī 'āqibat sañvār ga.ī
tire karam ke haiñ qurbān ai ġham-e-daurāñ
mirī hayāt ko shīshe meñ tū utaar ga.ī
hamāre dam se hī rangīniyāñ chaman meñ thiiñ
hamāre vāste rotī huī bahār ga.ī
maiñ tujh ko pā na sakā ye mirā muqaddar thā
tirī talāsh masāfat mirī sañvār ga.ī
hazār tark-e-mohabbat ke baa'd bhī 'dānish'
usī kī samt nazar merī baar baar ga.ī
wo ek nigah jo le kar mera qarar gai
qasam KHuda ki meri 'aqibat sanwar gai
tere karam ke hain qurban ai gham-e-dauran
meri hayat ko shishe mein tu utar gai
hamare dam se hi ranginiyan chaman mein thin
hamare waste roti hui bahaar gai
main tujh ko pa na saka ye mera muqaddar tha
teri talash masafat meri sanwar gai
hazar tark-e-mohabbat ke ba'd bhi 'danish'
usi ki samt nazar meri bar bar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.