wo ek pal jab maine tujhko dekha tha
vo ik pal jab maiñ ne tujh ko dekhā thā
naam apnā aap apne hī se pūchhā thā
mere rāgoñ kī bandish be-masraf thī
is meñ to naġhmoñ kā jharnā bahtā thā
ādhī-adhūrī nāqis nā-kāfī har shai
ek ḳhalā hī mere andar puurā thā
maiñ ne us kī sāñsoñ ke ā.īne meñ
ik abadī āvāz kā chehra dekhā thā
takte takte merī āñkheñ ḳhvāb huiiñ
kho baiThūñgā tujh ko ik andesha thā
kyā us parda-dār ke yuuñ khul jaane meñ
ik pechīda ramz koī poshīda thā
wo ek pal jab main ne tujh ko dekha tha
nam apna aap apne hi se puchha tha
mere ragon ki bandish be-masraf thi
is mein to naghmon ka jharna bahta tha
aadhi-adhuri naqis na-kafi har shai
ek KHala hi mere andar pura tha
main ne us ki sanson ke aaine mein
ek abadi aawaz ka chehra dekha tha
takte takte meri aankhen KHwab huin
kho baiThunga tujh ko ek andesha tha
kya us parda-dar ke yun khul jaane mein
ek pechida ramz koi poshida tha
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 83)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.