wo ek sadi ka banae tha intizam tamam
vo ik sadī kā banā.e thā intizām tamām
ki ek pal meñ huī umr-e-nā-tamām tamām
abhī maiñ kar bhī na paayā thā ek jaam tamām
nidā ye aa.ī ki bas ho chukī ye shaam tamām
maiñ apnī aag meñ jaltā huuñ merā haal na pūchh
mirā nafas kiyā kartā hai merā kaam tamām
havā hī aisī chalī thī ukhaḌ ga.e ḳheme
na kar sake the abhī arsa-e-qiyām tamām
ḳhushī hamārī bajā hai mubāh faḳhr hameñ
likhī hai mumlikat-e-ġham hamāre naam tamām
Thikāne lag ga.iiñ 'afsar' bachī-khuchī sāñseñ
chalo ki ho hī gayā aaj ye bhī kaam tamām
wo ek sadi ka banae tha intizam tamam
ki ek pal mein hui umr-e-na-tamam tamam
abhi main kar bhi na paya tha ek jam tamam
nida ye aai ki bas ho chuki ye sham tamam
main apni aag mein jalta hun mera haal na puchh
mera nafas kiya karta hai mera kaam tamam
hawa hi aisi chali thi ukhaD gae KHeme
na kar sake the abhi arsa-e-qiyam tamam
KHushi hamari baja hai mubah faKHr hamein
likhi hai mumlikat-e-gham hamare nam tamam
Thikane lag gain 'afsar' bachi-khuchi sansen
chalo ki ho hi gaya aaj ye bhi kaam tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.