wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah
vo ik vajūd zamīñ par bhī āsmāñ kī tarah
mire hudūd se bāhar hai lā-makāñ kī tarah
vo ik ḳhayāl koī bahr-e-be-karāñ jaise
mirī nazar kisī bosīda bādbāñ kī tarah
azal se sar pe khaḌī dopahar kā manzar hai
so ab ye dhuup bhī lagtī hai sā.ebāñ kī tarah
maiñ harf harf use hī sameTnā chāhūñ
magar vo phailtā jaatā hai dāstāñ kī tarah
mire badan meñ koī shai yugoñ yugoñ se 'qamar'
bikhar rahī hai kisī reg-e-rā.egāñ kī tarah
wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah
mere hudud se bahar hai la-makan ki tarah
wo ek KHayal koi bahr-e-be-karan jaise
meri nazar kisi bosida baadban ki tarah
azal se sar pe khaDi dopahar ka manzar hai
so ab ye dhup bhi lagti hai saeban ki tarah
main harf harf use hi sameTna chahun
magar wo phailta jata hai dastan ki tarah
mere badan mein koi shai yugon yugon se 'qamar'
bikhar rahi hai kisi reg-e-raegan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.