Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo imtihan mein jab hum ko Dal deta hai

Nalini Vibha Nazli

wo imtihan mein jab hum ko Dal deta hai

Nalini Vibha Nazli

MORE BYNalini Vibha Nazli

    vo imtihān meñ jab ham ko Daal detā hai

    jo lā-javāb hoñ aise savāl detā hai

    vo merī fikr taġhazzul meñ Dhaal detā hai

    mirā ḳhudā mujhe nāzuk-ḳhayāl detā hai

    utārtā hai mire zehn par na.e ash.ār

    dhanak ke rang ġhazal meñ vo Daal detā hai

    ye panchhiyoñ ke jo naġhme sunā.ī dete haiñ

    koī to detā hai sur in ko taal detā hai

    panāh detā hai yuuñ panchhiyoñ ko āñchal meñ

    daraḳht dhuup ko saa.e meñ Dhaal detā hai

    vo jis den haiñ sāñseñ agar vo chāhe to

    bashar ko maut ke muñh se nikāl detā hai

    nasīb qaid hai sab usī muTThī meñ

    vahī bashar ko urūj-o-zavāl detā hai

    vahī diloñ pe lagātā hai zaḳhm aur vahī

    diloñ ko zabt ke sāñche meñ Dhaal detā hai

    ḳhudā shukr karo dilbaro ki jo tum ko

    vaqār detā hai husn-o-jamāl detā hai

    karūñ maiñ us malāmat nahīñ mirī tahzīb

    jo 'nāzlī' mujhe pal pal malāl detā hai

    wo imtihan mein jab hum ko Dal deta hai

    jo la-jawab hon aise sawal deta hai

    wo meri fikr taghazzul mein Dhaal deta hai

    mera KHuda mujhe nazuk-KHayal deta hai

    utarta hai mere zehn par nae ashaar

    dhanak ke rang ghazal mein wo Dal deta hai

    ye panchhiyon ke jo naghme sunai dete hain

    koi to deta hai sur in ko tal deta hai

    panah deta hai yun panchhiyon ko aanchal mein

    daraKHt dhup ko sae mein Dhaal deta hai

    wo jis ki den hain sansen agar wo chahe to

    bashar ko maut ke munh se nikal deta hai

    nasib qaid hai sab ka usi ki muTThi mein

    wahi bashar ko uruj-o-zawal deta hai

    wahi dilon pe lagata hai zaKHm aur wahi

    dilon ko zabt ke sanche mein Dhaal deta hai

    KHuda ka shukr karo dilbaro ki jo tum ko

    waqar deta hai husn-o-jamal deta hai

    karun main us ki malamat nahin meri tahzib

    jo 'nazli' mujhe pal pal malal deta hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now