wo insan dhanwan bahut hai
vo insāñ dhanvān bahut hai
jis ke andar gyaan bahut hai
ġhurbat meñ jiinā hai mushkil
marnā to āsān bahut hai
kal-yug meñ sat-yug kī bāteñ
kartā hai nādān bahut hai
yādeñ is meñ dafn haiñ kitnī
būḌhe ghar kī shaan bahut hai
dhanvānoñ kī is bastī meñ
nirdhan kā apmān bahut hai
shīsha-e-dil to 'āzar' sāhab
TūTegā imkān bahut hai
wo insan dhanwan bahut hai
jis ke andar gyan bahut hai
ghurbat mein jina hai mushkil
marna to aasan bahut hai
kal-yug mein sat-yug ki baaten
karta hai nadan bahut hai
yaaden is mein dafn hain kitni
buDhe ghar ki shan bahut hai
dhanwanon ki is basti mein
nirdhan ka apman bahut hai
shisha-e-dil to 'azar' sahab
TuTega imkan bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.