wo is ada se wahan ja ke sharmsar aaya
vo is adā se vahāñ jā ke sharmsār aaya
raqīb par mujhe be-iḳhtiyār pyaar aaya
ye haal thā shab-e-va.ada ki tā-ba-rāhguzar
hazār baar gayā maiñ hazār baar aaya
tirā hī kūcha Thikāna hai ḳhāksāroñ kā
jo zinda aa na sakā maiñ mirā ġhubār aaya
maze uḌaa.e vahāñ ḳhush rahā liyā in.aam
yahāñ jo nāma-bar aaya to ashk-bār aaya
guzar ga.e isī gardish meñ apne lail-o-nahār
shab-e-firāq ga.ī roz-e-intizār aaya
uḌaa.e haiñ malak-ul-maut ne bhī tere Dhang
hazār baar bulāyā to ek baar aaya
ḳhudā ke vāste jhūTī na khā.iye qasmeñ
mujhe yaqīn huā mujh ko e.atibār aaya
kahāñ the shab ko tumheñ kuchh ḳhabar bhī hai ki nahīñ
koī pukārne vaalā bahut pukār aaya
kamāl-e-ishq ko farhād-o-qais kab pahuñche
vo puḳhta-kār hai dil jis kā baar baar aaya
vo kyoñ hue mire mushtāq ḳhair ho yā-rab
talab meñ kal hī ḳhat aaya thā aaj taar aaya
pilā de aaj sar-e-shām mujh ko ai saaqī
ki terī bazm meñ ik maiñ hī roza-dār aaya
Dare jo hashr meñ vo mujh ko dekhte hī kahā
mirā rafīq mirā 'dāġh'-e-jāñ-nisār aaya
wo is ada se wahan ja ke sharmsar aaya
raqib par mujhe be-iKHtiyar pyar aaya
ye haal tha shab-e-wada ki ta-ba-rahguzar
hazar bar gaya main hazar bar aaya
tera hi kucha Thikana hai KHaksaron ka
jo zinda aa na saka main mera ghubar aaya
maze uDae wahan KHush raha liya inam
yahan jo nama-bar aaya to ashk-bar aaya
guzar gae isi gardish mein apne lail-o-nahaar
shab-e-firaq gai roz-e-intizar aaya
uDae hain malak-ul-maut ne bhi tere Dhang
hazar bar bulaya to ek bar aaya
KHuda ke waste jhuTi na khaiye qasmen
mujhe yaqin hua mujh ko eatibar aaya
kahan the shab ko tumhein kuchh KHabar bhi hai ki nahin
koi pukarne wala bahut pukar aaya
kamal-e-ishq ko farhad-o-qais kab pahunche
wo puKHta-kar hai dil jis ka bar bar aaya
wo kyon hue mere mushtaq KHair ho ya-rab
talab mein kal hi KHat aaya tha aaj tar aaya
pila de aaj sar-e-sham mujh ko ai saqi
ki teri bazm mein ek main hi roza-dar aaya
Dare jo hashr mein wo mujh ko dekhte hi kaha
mera rafiq mera 'dagh'-e-jaan-nisar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.