wo is andaz ki mujhse mohabbat chahta hai
vo is andāz kī mujh se mohabbat chāhtā hai
mire har ḳhvāb par apnī hukūmat chāhtā hai
mire har lafz meñ jo boltā hai mujh se baḌh kar
mire har lafz kī mujh se vazāhat chāhtā hai
bahāna chāhiye us ko bhī ab tark-e-vafā kā
maiñ ḳhud us se karūñ koī shikāyat chāhtā hai
use ma.alūm hai mere paroñ meñ dam nahīñ hai
mirā sayyād ab mujh se baġhāvat chāhtā hai
vo kahtā hai ki maiñ us kī zarūrat ban chukī huuñ
to goyā vo mujhe hasb-e-zarūrat chāhtā hai
kabhī us ke savāloñ se mujhe lagtā hai aise
ki jaise vo ḳhudā hai aur qayāmat chāhtā hai
use ma.alūm hai maiñ ne hamesha sach likhā hai
vo phir bhī jhuuT kī mujh se himāyat chāhtā hai
wo is andaz ki mujh se mohabbat chahta hai
mere har KHwab par apni hukumat chahta hai
mere har lafz mein jo bolta hai mujh se baDh kar
mere har lafz ki mujh se wazahat chahta hai
bahana chahiye us ko bhi ab tark-e-wafa ka
main KHud us se karun koi shikayat chahta hai
use malum hai mere paron mein dam nahin hai
mera sayyaad ab mujh se baghawat chahta hai
wo kahta hai ki main us ki zarurat ban chuki hun
to goya wo mujhe hasb-e-zarurat chahta hai
kabhi us ke sawalon se mujhe lagta hai aise
ki jaise wo KHuda hai aur qayamat chahta hai
use malum hai main ne hamesha sach likha hai
wo phir bhi jhuT ki mujh se himayat chahta hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 19.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.