wo is tarah bhi mujhe aazmane lagta hai
wo is tarah bhi mujhe aazmane lagta hai
KHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
MORE BYKHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
vo is tarah bhī mujhe āzmāne lagtā hai
mizāj pūchhtā hai muskurāne lagtā hai
koī to hai jo rihā.ī ke hukm se pahle
hamārī qaid kī muddat baḌhāne lagtā hai
nigāh us kī ajab hai ki kuchh nahīñ kahtī
magar badan hai ki aksar bulāne lagtā hai
amīr-e-shahr kī muTThī meñ hai mirā munsif
bayāñ se pahle sazā.eñ sunāne lagtā hai
hamārī ruuh ko ruḳhsat hue zamāna huā
ye dekhnā hai badan kab Thikāne lagtā hai
wo is tarah bhi mujhe aazmane lagta hai
mizaj puchhta hai muskurane lagta hai
koi to hai jo rihai ke hukm se pahle
hamari qaid ki muddat baDhane lagta hai
nigah us ki ajab hai ki kuchh nahin kahti
magar badan hai ki aksar bulane lagta hai
amir-e-shahr ki muTThi mein hai mera munsif
bayan se pahle sazaen sunane lagta hai
hamari ruh ko ruKHsat hue zamana hua
ye dekhna hai badan kab Thikane lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.