wo is tarah se meri anjuman mein lauT aae
vo is tarah se mirī anjuman meñ lauT aa.e
bhaTak ke jaise parinda vatan meñ lauT aa.e
guzar ga.ī thī koī titlī mujh ko chhūte hue
tamām rang mire pairahan meñ lauT aa.e
do-chār din meñ hī thak ga.e the dasht-e-rūh meñ ham
so ek din usī shahr-e-badan meñ lauT aa.e
hamāre jism meñ Dhalne lagī thī ḳhāmoshī
bhalā huā ki parinde chaman meñ lauT aa.e
jab aayā yaar to thoḌā sā uTh ke baiTh ga.e
yuuñ mil ke yaar se bazm-e-suḳhan meñ lauT aa.e
bas ek dard ne kyā piiTh thapthapā.ī ki phir
tamām husn-o-jamāl ahl-e-fan meñ lauT aa.e
sunā hai phir se mohabbat meñ log marne lage
ye kis zamāne ke sikke chalan meñ lauT aa.e
huī jo shaam to phir raat kāTne ke liye
tamām log mire tan-badan meñ lauT aa.e
wo is tarah se meri anjuman mein lauT aae
bhaTak ke jaise parinda watan mein lauT aae
guzar gai thi koi titli mujh ko chhute hue
tamam rang mere pairahan mein lauT aae
do-chaar din mein hi thak gae the dasht-e-ruh mein hum
so ek din usi shahr-e-badan mein lauT aae
hamare jism mein Dhalne lagi thi KHamoshi
bhala hua ki parinde chaman mein lauT aae
jab aaya yar to thoDa sa uTh ke baiTh gae
yun mil ke yar se bazm-e-suKHan mein lauT aae
bas ek dard ne kya piTh thapthapai ki phir
tamam husn-o-jamal ahl-e-fan mein lauT aae
suna hai phir se mohabbat mein log marne lage
ye kis zamane ke sikke chalan mein lauT aae
hui jo sham to phir raat kaTne ke liye
tamam log mere tan-badan mein lauT aae
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 41)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.