wo itna kam se kam to mehrban hai
vo itnā kam se kam to mehrbāñ hai
mirā hī naam zeb-e-dāstāñ hai
salīqe se jo kartā dushmanī bhī
sitamgar ab koī aisā kahāñ hai
kahānī shauq kī hai mere itnī
ki ik miTTī kā paanī par makāñ hai
mujhe ab kyā kisī shai kī zarūrat
tirā ġham jab matā-e-jāvedāñ hai
bhalā kaise yaqīñ is par karūñ maiñ
mirā mahbūb mujh se bad-gumāñ hai
kahānī facebōk par hai raqam ab
mohabbat apnī mash.hūr-e-jahāñ hai
mujhe 'ḳhushtar' vatan apnā hai pyārā
zamīñ par ḳhuld ye hindostāñ hai
wo itna kam se kam to mehrban hai
mera hi nam zeb-e-dastan hai
saliqe se jo karta dushmani bhi
sitamgar ab koi aisa kahan hai
kahani shauq ki hai mere itni
ki ek miTTi ka pani par makan hai
mujhe ab kya kisi shai ki zarurat
tera gham jab mata-e-jawedan hai
bhala kaise yaqin is par karun main
mera mahbub mujh se bad-guman hai
kahani facebook par hai raqam ab
mohabbat apni mashhur-e-jahan hai
mujhe 'KHushtar' watan apna hai pyara
zamin par KHuld ye hindostan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.