wo iztirab shab-e-intizar hota hai
vo iztirāb shab-e-intizār hotā hai
ki māhtāb kaleje ke paar hotā hai
fasurda aap na hoñ dekh kar mirā dāmāñ
ye bad-nasīb yūñhī taar taar hotā hai
nahīñ kuchh aur mohabbat kī choT hai hamdam
ye dard dil meñ kahīñ baar baar hotā hai
tirī talāsh se ġhāfil nahīñ tirā vahshī
zavāl-e-hosh meñ bhī hoshiyār hotā hai
ho un kā vāda-e-fardā ġhalat sahī lekin
maiñ kyā karūñ ki mujhe e.atibār hotā hai
wo iztirab shab-e-intizar hota hai
ki mahtab kaleje ke par hota hai
fasurda aap na hon dekh kar mera daman
ye bad-nasib yunhi tar tar hota hai
nahin kuchh aur mohabbat ki choT hai hamdam
ye dard dil mein kahin bar bar hota hai
teri talash se ghafil nahin tera wahshi
zawal-e-hosh mein bhi hoshiyar hota hai
ho un ka wada-e-farda ghalat sahi lekin
main kya karun ki mujhe eatibar hota hai
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 108)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.