wo jaan-e-intizar aae na aae
vo jān-e-intizār aa.e na aa.e
mire dil ko qarār aa.e na aa.e
yaqīñ hai aa.egā daur-e-masarrat
kisī ko e'tibār aa.e na aa.e
ḳhizāñ kā daur to ho jaa.e ruḳhsat
gulistāñ meñ bahār aa.e na aa.e
kise ma.alūm kab vo ruuTh jaa.eñ
mohabbat sāzgār aa.e na aa.e
bulāyā us ne hai to jā.ūñgā maiñ
ye mauqa baar baar aa.e na aa.e
wo jaan-e-intizar aae na aae
mere dil ko qarar aae na aae
yaqin hai aaega daur-e-masarrat
kisi ko e'tibar aae na aae
KHizan ka daur to ho jae ruKHsat
gulistan mein bahaar aae na aae
kise malum kab wo ruTh jaen
mohabbat sazgar aae na aae
bulaya us ne hai to jaunga main
ye mauqa bar bar aae na aae
- Book : احساس کے نشاں
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.