wo jaan ke mujhse hi anjaan hua kitna
vo jaan ke mujh se hī anjān huā kitnā
maiñ shahr-e-tamannā meñ halkān huā kitnā
tūfāñ ke guzarne kī tum ko bhī ḳhabar kuchh hai
jaañ bach to ga.ī lekin nuqsān huā kitnā
'mahfūz' safar yuuñ to āsāñ hai bahut lekin
ye bhī to zarā dekho sāmān huā kitnā
wo jaan ke mujh se hi anjaan hua kitna
main shahr-e-tamanna mein halkan hua kitna
tufan ke guzarne ki tum ko bhi KHabar kuchh hai
jaan bach to gai lekin nuqsan hua kitna
'mahfuz' safar yun to aasan hai bahut lekin
ye bhi to zara dekho saman hua kitna
- Book : غبار حیرانی (Pg. 37)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.