wo jab nazren mila kar bolte hain
vo jab nazreñ milā kar bolte haiñ
to but allāhu-akbar bolte haiñ
kabhī ḳhāmosh jo hone lagā huuñ
to vo ḳhvāboñ meñ aa kar bolte haiñ
unheñ dekhūñ to kaise kaise jazbe
mirī āñkhoñ ke andar bolte haiñ
havā.eñ nāchtī haiñ mere sar par
mire ḳhuuñ meñ samundar bolte haiñ
maiñ sadiyoñ ke tafāḳhur kī zabāñ huuñ
zamāne mere andar bolte haiñ
ye kaisā shahr hai mazlūm chup haiñ
magar zālim barābar bolte haiñ
taqaddus mahr ban jaa.e to 'akbar'
phir aise meñ abūzar bolte haiñ
wo jab nazren mila kar bolte hain
to but allahu-akbar bolte hain
kabhi KHamosh jo hone laga hun
to wo KHwabon mein aa kar bolte hain
unhen dekhun to kaise kaise jazbe
meri aankhon ke andar bolte hain
hawaen nachti hain mere sar par
mere KHun mein samundar bolte hain
main sadiyon ke tafaKHur ki zaban hun
zamane mere andar bolte hain
ye kaisa shahr hai mazlum chup hain
magar zalim barabar bolte hain
taqaddus mahr ban jae to 'akbar'
phir aise mein abuzar bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.