wo jab rang-e-pareshani ko KHalwat-gir dekhenge
vo jab rañg-e-pareshānī ko ḳhalvat-gīr dekheñge
to apne har tasavvur meñ mirī tasvīr dekheñge
sunā hai husn ko dah-chand kar detā hai ye shīsha
lagā kar apne dil meñ aap kī tasvīr dekheñge
vafā kā tazkira kyā ab to ye irshād hai un kā
ki tum naala karo ham garmī-e-tāsīr dekheñge
shikasta har kaḌī hai har kaḌī meñ dil ke TukḌe haiñ
baḌī ibrat se dīvāne mirī zanjīr dekheñge
ḳhayāl-e-hashar o fikr-e-nashr ai 'sīmāb' lā-hāsil
ki hai taqdīr meñ jo kuchh bahar-taqdīr dekheñge
wo jab rang-e-pareshani ko KHalwat-gir dekhenge
to apne har tasawwur mein meri taswir dekhenge
suna hai husn ko dah-chand kar deta hai ye shisha
laga kar apne dil mein aap ki taswir dekhenge
wafa ka tazkira kya ab to ye irshad hai un ka
ki tum nala karo hum garmi-e-tasir dekhenge
shikasta har kaDi hai har kaDi mein dil ke TukDe hain
baDi ibrat se diwane meri zanjir dekhenge
KHayal-e-hashar o fikr-e-nashr ai 'simab' la-hasil
ki hai taqdir mein jo kuchh bahar-taqdir dekhenge
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 249)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.