wo jab se ghaeb-e-manzar hua hai
vo jab se ġhā.eb-e-manzar huā hai
mirī āñkhoñ ko sakta ho gayā hai
vo dāvat kar rahā hai dushmanoñ kī
mire dil meñ phapholā ho gayā hai
adāvat kar rahī hai chāplūsī
mohabbat ko shubah sā ho gayā hai
samā.at muntazir lailā ye kah de
mujhe tum par bharosā ho gayā hai''
ḳhizar kī hamsarī ke da.ave vaale
tujhe marne kā ḳhadsha ho gayā hai
wo jab se ghaeb-e-manzar hua hai
meri aankhon ko sakta ho gaya hai
wo dawat kar raha hai dushmanon ki
mere dil mein phaphola ho gaya hai
adawat kar rahi hai chaplusi
mohabbat ko shubah sa ho gaya hai
samaat muntazir laila ye kah de
mujhe tum par bharosa ho gaya hai
KHizar ki hamsari ke dawe wale
tujhe marne ka KHadsha ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.