wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate
wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate
Sher Singh Naaz Dehlvi
MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi
vo jab tak anjuman meñ jalva farmāne nahīñ aate
surāhī raqs meñ gardish meñ paimāne nahīñ aate
sharīk-e-dard ban kar apne begāne nahīñ aate
mai-e-ishrat jo piite haiñ vo ġham khāne nahīñ aate
lipaT kar sham.a kī lau se lagī dil kī bujhāte haiñ
parā.ī aag meñ jalne ko parvāne nahīñ aate
uḌāte hī phireñge umr bhar vo ḳhaak sahrā kī
tirī zulfoñ ke saa.e meñ jo dīvāne nahīñ aate
jo apnī aan par ai 'nāz' apnī jaan dete the
zamāne meñ nazar ab aise dīvāne nahīñ aate
wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate
surahi raqs mein gardish mein paimane nahin aate
sharik-e-dard ban kar apne begane nahin aate
mai-e-ishrat jo pite hain wo gham khane nahin aate
lipaT kar shama ki lau se lagi dil ki bujhate hain
parai aag mein jalne ko parwane nahin aate
uDate hi phirenge umr bhar wo KHak sahra ki
teri zulfon ke sae mein jo diwane nahin aate
jo apni aan par ai 'naz' apni jaan dete the
zamane mein nazar ab aise diwane nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.