wo jafa-ju ki nazar us se mila bhi na sakun
vo jafā-jū ki nazar us se milā bhī na sakūñ
vaa.e re pās-e-vafā aañkh churā bhī na sakūñ
yaar ḳhvābīda hai yuuñ fitna-e-mahshar kī tarah
aap so bhī na sakūñ us ko jagā bhī na sakūñ
tere dīdār kī gar mujh ko sa'ādat ho nasīb
hosh daulat nahīñ aisī ki luTā bhī na sakūñ
jab kiyā pesh navishta to vo hañs kar bole
kyā ye qismat kā likhā hai ki miTā bhī na sakūñ
haa.e re husn-e-jahāñ-soz ki vo āfat-e-jāñ
sāmne aa.e to phir sāmne aa bhī na sakūñ
manzil-e-'ishq meñ ye hosh-o-ḳhirad kyā hoñge
ki agar vaqt paḌe kaam meñ lā bhī na sakūñ
bāryābī dar-e-jānāñ pe alag baat hai 'ḳhār'
kyā qayāmat hai ki us kūche meñ jā bhī na sakūñ
wo jafa-ju ki nazar us se mila bhi na sakun
wae re pas-e-wafa aankh chura bhi na sakun
yar KHwabida hai yun fitna-e-mahshar ki tarah
aap so bhi na sakun us ko jaga bhi na sakun
tere didar ki gar mujh ko sa'adat ho nasib
hosh daulat nahin aisi ki luTa bhi na sakun
jab kiya pesh nawishta to wo hans kar bole
kya ye qismat ka likha hai ki miTa bhi na sakun
hae re husn-e-jahan-soz ki wo aafat-e-jaan
samne aae to phir samne aa bhi na sakun
manzil-e-'ishq mein ye hosh-o-KHirad kya honge
ki agar waqt paDe kaam mein la bhi na sakun
baryabi dar-e-jaanan pe alag baat hai 'KHar'
kya qayamat hai ki us kuche mein ja bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.