wo jafa-kash hain ki Darte nahin aazar se hum
wo jafa-kash hain ki Darte nahin aazar se hum
Sipah Daar Khan Begun
MORE BYSipah Daar Khan Begun
vo jafā-kash haiñ ki Darte nahīñ āzār se ham
dil lagā baiThe haiñ ek shoḳh jafākār se ham
tū gayā ghar meñ mujhe chhoḌ ke tanhā jab se
sar paTakte haiñ sitamgar dar-o-dīvār se ham
umr guzrī ki ġham-e-hijr meñ dil hai betāb
dekhiye shaad hoñ kab yaar ke dīdār se ham
niiñd aa.e to kabhī ḳhvāb meñ dekheñ tujh ko
tang aa.e haiñ bahut dīda-e-bedār se ham
qahr hai dam-ba-dam abrū kā chaḌhānā terā
ai sitamgar nahīñ Darte tirī talvār se ham
ho ga.ī un kī ināyat se har ek mushkil hal
aas rakhte haiñ yahī haidar-e-karrār se ham
hai yahī apnī shaqāvat kā vasīla 'be-gun'
ishq rakhte haiñ dilā ahmad-e-muḳhtār se ham
wo jafa-kash hain ki Darte nahin aazar se hum
dil laga baiThe hain ek shoKH jafakar se hum
tu gaya ghar mein mujhe chhoD ke tanha jab se
sar paTakte hain sitamgar dar-o-diwar se hum
umr guzri ki gham-e-hijr mein dil hai betab
dekhiye shad hon kab yar ke didar se hum
nind aae to kabhi KHwab mein dekhen tujh ko
tang aae hain bahut dida-e-bedar se hum
qahr hai dam-ba-dam abru ka chaDhana tera
ai sitamgar nahin Darte teri talwar se hum
ho gai un ki inayat se har ek mushkil hal
aas rakhte hain yahi haidar-e-karrar se hum
hai yahi apni shaqawat ka wasila 'be-gun'
ishq rakhte hain dila ahmad-e-muKHtar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.