wo jahan bhi kaisa jahan tha jahan raat meri guzar gai
vo jahāñ bhī kaisā jahān thā jahāñ raat merī guzar ga.ī
vo havā-e-shauq thī mushk-bū rag-e-jāñ ko jaise katar ga.ī
shab-e-tār jo ki thī ham-safar kisī rāste meñ basar huī
ho bayān-e-vahshat-e-dil bhī kyā jo guzar ga.ī so guzar ga.ī
jahāñ dhaḌkanoñ kā hisāb thā vahīñ kaan us pe lage hue
na kisī ko phir bhī ḳhabar huī na kisī kī us pe nazar ga.ī
ye jo lā-makāñ hai makāñ to hai to makīñ bhī honā zarūr hai
vo usī kā hukm thā bil-yaqīñ jo zamīñ pe nau-e-bashar ga.ī
koī rashk-e-husn-e-tamām thā vahī qadd-o-qāmat-e-sarv sā
vahī barq jis kā bayāñ ho kyā jo girī to dil meñ utar ga.ī
vo duā thī mere shikasta dil kī jo sidra par bhī na ruk sakī
rah-e-arsh us kī nazar meñ thī na idhar ga.ī na udhar ga.ī
wo jahan bhi kaisa jahan tha jahan raat meri guzar gai
wo hawa-e-shauq thi mushk-bu rag-e-jaan ko jaise katar gai
shab-e-tar jo ki thi ham-safar kisi raste mein basar hui
ho bayan-e-wahshat-e-dil bhi kya jo guzar gai so guzar gai
jahan dhaDkanon ka hisab tha wahin kan us pe lage hue
na kisi ko phir bhi KHabar hui na kisi ki us pe nazar gai
ye jo la-makan hai makan to hai to makin bhi hona zarur hai
wo usi ka hukm tha bil-yaqin jo zamin pe nau-e-bashar gai
koi rashk-e-husn-e-tamam tha wahi qadd-o-qamat-e-sarw sa
wahi barq jis ka bayan ho kya jo giri to dil mein utar gai
wo dua thi mere shikasta dil ki jo sidra par bhi na ruk saki
rah-e-arsh us ki nazar mein thi na idhar gai na udhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.