wo jahan hain wahin KHayal mera
vo jahāñ haiñ vahīñ ḳhayāl mirā
mustaqil ho gayā visāl mirā
pyaar se dekhā phir mujhe us ne
phir se ohda huā bahāl mirā
vo jo pāgal thā ab vo kaisā hai
aaise vo pūchhtā hai haal mirā
apnī yādoñ kī raushnī kam kar
is ne sonā kiyā muhāl mirā
maiñ hī ā.ūñgā apne raste meñ
mere bhītar se Dar nikāl mirā
saath mere ghasiTtā hai pal pal
thak ke saaya huā niDhāl mirā
is amāvas meñ phir se tanhā huuñ
chāñd hai gar sharīk-e-hāl mirā
TūTnā hai javāb meñ tum ko
aaj kuchh saḳht hai savāl mirā
taaki tū rah sake ḳhudā mujh meñ
mujh se aaseb ab nikāl mirā
aayā pal bhar ko sar pe saaya phir
dhuup ko aa gayā ḳhayāl mirā
tū mujhe aazmā na aur 'ātish'
terā jalnā bhī hai kamāl mirā
wo jahan hain wahin KHayal mera
mustaqil ho gaya visal mera
pyar se dekha phir mujhe us ne
phir se ohda hua bahaal mera
wo jo pagal tha ab wo kaisa hai
aaise wo puchhta hai haal mera
apni yaadon ki raushni kam kar
is ne sona kiya muhaal mera
main hi aaunga apne raste mein
mere bhitar se Dar nikal mera
sath mere ghasiTta hai pal pal
thak ke saya hua niDhaal mera
is amawas mein phir se tanha hun
chand hai gar sharik-e-haal mera
TuTna hai jawab mein tum ko
aaj kuchh saKHt hai sawal mera
taki tu rah sake KHuda mujh mein
mujh se aaseb ab nikal mera
aaya pal bhar ko sar pe saya phir
dhup ko aa gaya KHayal mera
tu mujhe aazma na aur 'atish'
tera jalna bhi hai kamal mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.