wo jald-baz aise achanak juda hua
vo jald-bāz aise achānak judā huā
maiñ soch bhī na paayā mire saath kyā huā
mujh se bahut hī duur koī jā chukā hai aur
dil hai ki phir umiid koī bāñdhtā huā
merī chaTān zabt se TūTegī dekhnā
mujh meñ hai us kī yaad kā dariyā rukā huā
ronā na dekh merā tasallī na de mujhe
ye pūchh mujh se kitnā baḌā hādisa huā
sab aa chuke haiñ jānñe vaale sab aa chuke
marte hue se jhuuT koī boltā huā
ik aa.ine kī gard mire muñh pe aa paḌī
muddat ke baa'd mujh se mirā rābta huā
mauj-e-ġhubār aa.ī uḌā le ga.ī use
jaatā bhī kitnī duur musāfir thakā huā
wo jald-baz aise achanak juda hua
main soch bhi na paya mere sath kya hua
mujh se bahut hi dur koi ja chuka hai aur
dil hai ki phir umid koi bandhta hua
meri chaTan zabt se TuTegi dekhna
mujh mein hai us ki yaad ka dariya ruka hua
rona na dekh mera tasalli na de mujhe
ye puchh mujh se kitna baDa hadisa hua
sab aa chuke hain jaanne wale sab aa chuke
marte hue se jhuT koi bolta hua
ek aaine ki gard mere munh pe aa paDi
muddat ke ba'd mujh se mera rabta hua
mauj-e-ghubar aai uDa le gai use
jata bhi kitni dur musafir thaka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.