Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jald-baz shaKHs kaenat kaise ho gaya

Hina Ambareen

wo jald-baz shaKHs kaenat kaise ho gaya

Hina Ambareen

MORE BYHina Ambareen

    vo jald-bāz shaḳhs kā.enāt kaise ho gayā

    nahīñ nahīñ guuñj meñ sabāt kaise ho gayā

    mujhe to apnī pyaas shu.ūr thā ġhurūr thā

    vo ek ghūñT baḌh ke yuuñ furāt kaise ho gayā

    mirī to dastaras meñ ḳhvāb tak rahe na the mire

    ye kyā huā zamāna mere saath kaise ho gayā

    paḌī huī khajūr se nabīz kaise ban ga.ī

    rukā huā ḳhayāl harf-e-na.at kaise ho gayā

    bujhe hoī charāġh meñ banī hai kaise raushnī

    vo munjamid banā havā ke saath kaise ho gayā

    suḳhan suḳhan meñ kis tarah samundaroñ se baat

    paḌe paḌe qalam tirā davāt kaise ho gayā

    wo jald-baz shaKHs kaenat kaise ho gaya

    nahin nahin ki gunj mein sabaat kaise ho gaya

    mujhe to apni pyas ka shuur tha ghurur tha

    wo ek ghunT baDh ke yun furaat kaise ho gaya

    meri to dastaras mein KHwab tak rahe na the mere

    ye kya hua zamana mere sath kaise ho gaya

    paDi hui khajur se nabiz kaise ban gai

    ruka hua KHayal harf-e-nat kaise ho gaya

    bujhe hoi charagh mein bani hai kaise raushni

    wo munjamid bana hawa ke sath kaise ho gaya

    suKHan suKHan mein kis tarah samundaron se baat ki

    paDe paDe qalam tera dawat kaise ho gaya

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now