wo jalwe jo hijab-e-naz se mahfil mein aate hain
vo jalve jo hijāb-e-nāz se mahfil meñ aate haiñ
mire dil se nikalte haiñ ki mere dil meñ aate haiñ
fanā pahlā adab hai shart-e-avval bazm-e-jānāñ meñ
jo apne aap se guzreñ vo is mahfil meñ aate haiñ
khulī āñkhoñ se 'ālam par gumān-e-'ālam-e-dil hai
jab āñkheñ band kartā huuñ nazar vo dil meñ aate haiñ
koī sāda-dilī-e-shauq ko ye baat samjhā de
payām-e-husn hote haiñ jo armāñ dil meñ aate haiñ
ḳhudī ke jauhar āsānī meñ insāñ par nahīñ khulte
ham apne sāmne khul kar faqat mushkil meñ aate haiñ
'zahīn' allāh ko maiñ dekhtā huuñ husn-e-jānāñ meñ
nazar ḳhurshīd ke jalve mah-e-kāmil meñ aate haiñ
wo jalwe jo hijab-e-naz se mahfil mein aate hain
mere dil se nikalte hain ki mere dil mein aate hain
fana pahla adab hai shart-e-awwal bazm-e-jaanan mein
jo apne aap se guzren wo is mahfil mein aate hain
khuli aankhon se 'alam par guman-e-'alam-e-dil hai
jab aankhen band karta hun nazar wo dil mein aate hain
koi sada-dili-e-shauq ko ye baat samjha de
payam-e-husn hote hain jo arman dil mein aate hain
KHudi ke jauhar aasani mein insan par nahin khulte
hum apne samne khul kar faqat mushkil mein aate hain
'zahin' allah ko main dekhta hun husn-e-jaanan mein
nazar KHurshid ke jalwe mah-e-kaamil mein aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.