wo jang maine mahaz-e-ana pe haari hai
vo jañg maiñ ne mahāz-e-anā pe haarī hai
lahū meñ aaj qayāmat kī barf-bārī hai
machā huā hai badan meñ lahū kā vāvailā
kahīñ se koī kumak laao zahr kaarī hai
ye dil hai yā kisī āfat-rasīda shahr kī raat
ki jitnā shor thā utnā sukūt taarī hai
sadāqateñ haiñ ajab ishq ke qabīle kii!
usī se jañg bhī Thahrī hai jis se yaarī hai
vo saath thā to sabhī rāste usī ke the
bichhaḌ gayā hai to har rahguzar hamārī hai
wo jang main ne mahaz-e-ana pe haari hai
lahu mein aaj qayamat ki barf-bari hai
macha hua hai badan mein lahu ka wawaila
kahin se koi kumak lao zahr kari hai
ye dil hai ya kisi aafat-rasida shahr ki raat
ki jitna shor tha utna sukut tari hai
sadaqaten hain ajab ishq ke qabile ki!
usi se jang bhi Thahri hai jis se yari hai
wo sath tha to sabhi raste usi ke the
bichhaD gaya hai to har rahguzar hamari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.