wo jawani to jawani hi nahin
vo javānī to javānī hī nahīñ
jis kī ho koī kahānī hī nahīñ
dard koī be-karānī hī nahīñ
baare terī meherbānī hī nahīñ
maiñ samajhtā thā hai ġhairat-mañd vo
us kī to āñkhoñ meñ paanī hī nahīñ
shādī-o-ġham kā na gar ho imtizāj
zindagānī zindagānī hī nahīñ
har koī martā hai apne vaqt par
maut hotī nā-gahānī hī nahīñ
ai dil-e-barbād ab maiñ kyā karūñ
baat merī tū ne maanī hī nahīñ
āj-kal kī shā.erī kyā shā.erī
sher mauzūñ hai ma.ānī hī nahīñ
maiñ to vo kahtā huuñ 'aḳhtar' jo hai haq
mujh ko aatī lan-tarānī hī nahīñ
wo jawani to jawani hi nahin
jis ki ho koi kahani hi nahin
dard koi be-karani hi nahin
bare teri meherbani hi nahin
main samajhta tha hai ghairat-mand wo
us ki to aankhon mein pani hi nahin
shadi-o-gham ka na gar ho imtizaj
zindagani zindagani hi nahin
har koi marta hai apne waqt par
maut hoti na-gahani hi nahin
ai dil-e-barbaad ab main kya karun
baat meri tu ne mani hi nahin
aaj-kal ki shaeri kya shaeri
sher mauzun hai maani hi nahin
main to wo kahta hun 'aKHtar' jo hai haq
mujh ko aati lan-tarani hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.