wo jhuT kah ke sahib-e-kirdar ho gaya
vo jhuuT kah ke sāhib-e-kirdār ho gayā
maiñ ne jo sach kahā to gunahgār ho gayā
thā shāḳh par gulāb baḌī shaan se magar
juuḌe meñ tere aur tarahdār ho gayā
āñkheñ bichhā.e baiThā thā maiñ jis ke vāste
vo shaḳhs merī raah kī dīvār ho gayā
us par kisī bhī baat kā hotā nahīñ asar
dīvāna is lihāz se hushiyār ho gayā
gum-sum dikhā.ī dete ho tum āj-kal 'shakīl'
sach kahnā kyā kisī se tumheñ pyaar ho gayā
wo jhuT kah ke sahib-e-kirdar ho gaya
main ne jo sach kaha to gunahgar ho gaya
tha shaKH par gulab baDi shan se magar
juDe mein tere aur tarahdar ho gaya
aankhen bichhae baiTha tha main jis ke waste
wo shaKHs meri rah ki diwar ho gaya
us par kisi bhi baat ka hota nahin asar
diwana is lihaz se hushiyar ho gaya
gum-sum dikhai dete ho tum aaj-kal 'shakil'
sach kahna kya kisi se tumhein pyar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.