wo ji gaya jo ishq mein ji se guzar gaya
vo jī gayā jo 'ishq meñ jī se guzar gayā
'iisā ko ho naved ki bīmār mar gayā
āzād kuchh hue haiñ asīrān-e-zindagī
yā'nī jamāl-e-yār kā sadqa utar gayā
duniyā meñ hāl-e-āmad-o-raft-e-bashar na pūchh
be-iḳhtiyār aa ke rahā be-ḳhabar gayā
shāyad ki shām-e-hijr ke maare bhī jī uTheñ
sub.h-e-bahār-e-hashr kā chehra utar gayā
aayā ki dil gayā koī pūchhe to kyā kahūñ
ye jāntā huuñ dil idhar aayā udhar gayā
haañ sach to hai shikāyat-e-zaḳhm-e-jigar ġhalat
dil se guzar ke tiir tumhārā kidhar gayā
dil kā ‘ilāj kījiye ab yā na kījiye
apnā jo kaam thā vo ġham-e-yār kar gayā
kyā kahiye apnī garm-ravī-hā-e-shauq ko
kuchh duur mere saath mirā rāhbar gayā
'fānī' kī zaat se ġham-e-hastī kī thī numūd
shīrāza aaj daftar-e-ġham kā bikhar gayā
wo ji gaya jo 'ishq mein ji se guzar gaya
'isa ko ho nawed ki bimar mar gaya
aazad kuchh hue hain asiran-e-zindagi
ya'ni jamal-e-yar ka sadqa utar gaya
duniya mein haal-e-amad-o-raft-e-bashar na puchh
be-iKHtiyar aa ke raha be-KHabar gaya
shayad ki sham-e-hijr ke mare bhi ji uThen
subh-e-bahaar-e-hashr ka chehra utar gaya
aaya ki dil gaya koi puchhe to kya kahun
ye jaanta hun dil idhar aaya udhar gaya
han sach to hai shikayat-e-zaKHm-e-jigar ghalat
dil se guzar ke tir tumhaara kidhar gaya
dil ka ‘ilaj kijiye ab ya na kijiye
apna jo kaam tha wo gham-e-yar kar gaya
kya kahiye apni garm-rawi-ha-e-shauq ko
kuchh dur mere sath mera rahbar gaya
'fani' ki zat se gham-e-hasti ki thi numud
shiraaza aaj daftar-e-gham ka bikhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.