wo jine bhi nahin deta wo marne bhi nahin deta
vo jiine bhī nahīñ detā vo marne bhī nahīñ detā
vo mujh ko apne pahlū meñ Thaharne bhī nahīñ detā
sunā.ūñ maiñ kise ye jo kahānī is safar kī hai
shajar hai ik kahīñ jo saaya karne bhī nahīñ detā
nishāñ dikhne lage haiñ jab se chehre pe judā.ī ke
ye shīsha chain se mujh ko sañvarne bhī nahīñ detā
yuuñ to rotā hai har ik shaḳhs hijr-e-yār meñ 'tānī'
ġhurūr apnā hai jo ab aaheñ bharne bhī nahīñ detā
wo jine bhi nahin deta wo marne bhi nahin deta
wo mujh ko apne pahlu mein Thaharne bhi nahin deta
sunaun main kise ye jo kahani is safar ki hai
shajar hai ek kahin jo saya karne bhi nahin deta
nishan dikhne lage hain jab se chehre pe judai ke
ye shisha chain se mujh ko sanwarne bhi nahin deta
yun to rota hai har ek shaKHs hijr-e-yar mein 'tani'
ghurur apna hai jo ab aahen bharne bhi nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.