wo jin ke aangan mohabbaton se bhare hue the
vo jin ke āñgan mohabbatoñ se bhare hue the
unhī makānoñ meñ khel kar ham baḌe hue the
havā ke jhoñke se aabjū meñ gire the shāyad
vo phuul dil kī chaTān par jo dhare hue the
zamīñ ne karvaT badal ke dekhā shajar kī jānib
laraztī shāḳhoñ meñ kuchh parinde Dare hue the
udaas peḌoñ pe ik tilismī sahīfa utrā
ḳhizāñ ke mausam meñ zard patte hare hue the
purāne sāhil pe zindagī pur-sukūñ thī lekin
na.e jazīroñ pe kuchh na.e tajrabe hue the
kabhī na lauTe ḳhizāñ-rasīda gharoñ ko 'rāshid'
jo sabz jhīloñ kī sair karne ga.e hue the
wo jin ke aangan mohabbaton se bhare hue the
unhi makanon mein khel kar hum baDe hue the
hawa ke jhonke se aabju mein gire the shayad
wo phul dil ki chaTan par jo dhare hue the
zamin ne karwaT badal ke dekha shajar ki jaanib
larazti shaKHon mein kuchh parinde Dare hue the
udas peDon pe ek tilismi sahifa utra
KHizan ke mausam mein zard patte hare hue the
purane sahil pe zindagi pur-sukun thi lekin
nae jaziron pe kuchh nae tajrabe hue the
kabhi na lauTe KHizan-rasida gharon ko 'rashid'
jo sabz jhilon ki sair karne gae hue the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.