Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jin ke pyar mein hum KHud ko hain bhulae hue

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

wo jin ke pyar mein hum KHud ko hain bhulae hue

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    vo jin ke pyaar meñ ham ḳhud ko haiñ bhulā.e hue

    ġhazab hai dil vahī auroñ se haiñ lagā.e hue

    kisī ġham haiñ kaleje se ham lagā.e hue

    zamāna biit gayā ham ko muskurā.e hue

    kisī kaise ho pahchān is zamāne meñ

    ki asl chehra to hai aadmī chhupā.e hue

    vo bār-e-ġham ki malā.ik jise uThā na sake

    vo bār-e-ġham bhī hai zāt-e-bashar uThā.e hue

    vo naag jis ne ki pīchhā kiyā thā kal merā

    vo aaj phir hai ta.āqub meñ phan uThā.e hue

    zabān nahīñ khultī ki hāl-e-dil kah duuñ

    na jaane kab se 'nazar' baiThe haiñ vo aa.e hue

    wo jin ke pyar mein hum KHud ko hain bhulae hue

    ghazab hai dil wahi auron se hain lagae hue

    kisi ka gham hain kaleje se hum lagae hue

    zamana bit gaya hum ko muskurae hue

    kisi ki kaise ho pahchan is zamane mein

    ki asl chehra to hai aadmi chhupae hue

    wo bar-e-gham ki malaik jise uTha na sake

    wo bar-e-gham bhi hai zat-e-bashar uThae hue

    wo nag jis ne ki pichha kiya tha kal mera

    wo aaj phir hai taaqub mein phan uThae hue

    zaban hi nahin khulti ki haal-e-dil kah dun

    na jaane kab se 'nazar' baiThe hain wo aae hue

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now