wo jin ki chhanw mein pale baDe hue
vo jin kī chhāñv meñ pale baḌe hue
idhar udhar paḌe haiñ sab kaTe hue
hazīmatoñ ke karb kī alāmateñ
charāġh taaq taaq haiñ bujhe hue
tamām tiir dushmanoñ se jā mile
kamān-dār kyā kareñ DaTe hue
visāl-rut meñ hijr kī hikāyateñ
udaas kar ga.ī haiñ dil khule hue
gharoñ kī raunaqeñ vahī jo thiiñ kabhī
magar bhulā diye ga.e ga.e hue
tanī tanī sī gardaneñ jhukī huī
duā ko haath haiñ sabhī uThe hue
wo jin ki chhanw mein pale baDe hue
idhar udhar paDe hain sab kaTe hue
hazimaton ke karb ki alamaten
charagh taq taq hain bujhe hue
tamam tir dushmanon se ja mile
kaman-dar kya karen DaTe hue
visal-rut mein hijr ki hikayaten
udas kar gai hain dil khule hue
gharon ki raunaqen wahi jo thin kabhi
magar bhula diye gae gae hue
tani tani si gardanen jhuki hui
dua ko hath hain sabhi uThe hue
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 225)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.