wo jin ki lai hum bhul gae wo miThe git purane hain
vo jin kī lai ham bhuul ga.e vo mīThe giit purāne haiñ
jo sachche rishte-nāte the vo aaj sabhī begāne haiñ
kal jin se nigāheñ miltī thiiñ ik huuk sī dil meñ uThtī thī
ab saare raste band hue vo log sabhī anjāne haiñ
maiñ pyaar kī baat karūñ kis se har baat ḳhayāl-o-ḳhvāb huī
kyā apnī vafā kā zikr karūñ kahte haiñ ye sab afsāne haiñ
maḳhlūq ko zinda rahne do ye dhartī sab kī dhartī hai
ham sab ko ziist kī rāhoñ meñ mil-jul kar bojh uThāne haiñ
tum jis ko sharāb samajhte ho insāñ kā lahū hai sāġhar meñ
ushshāq kā maqtal hai pyāre tum kahte ho maiḳhāne haiñ
wo jin ki lai hum bhul gae wo miThe git purane hain
jo sachche rishte-nate the wo aaj sabhi begane hain
kal jin se nigahen milti thin ek huk si dil mein uThti thi
ab sare raste band hue wo log sabhi anjaane hain
main pyar ki baat karun kis se har baat KHayal-o-KHwab hui
kya apni wafa ka zikr karun kahte hain ye sab afsane hain
maKHluq ko zinda rahne do ye dharti sab ki dharti hai
hum sab ko zist ki rahon mein mil-jul kar bojh uThane hain
tum jis ko sharab samajhte ho insan ka lahu hai saghar mein
ushshaq ka maqtal hai pyare tum kahte ho maiKHane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.