wo jinhen har rah ne Thukra diya hai
vo jinheñ har raah ne Thukrā diyā hai
manziloñ ko ġham unhīñ kā khā rahā hai
merā dil hai dekhne kī chiiz lekin
is ko chhūnā mat ki ye TuuTā huā hai
ajnabī ban kar vo miltā hai unhīñ se
jin ko vo achchhī tarah pahchāntā hai
chīḳhtī thī iiñT ek ik jis kī kal tak
aaj vo saarā makāñ soyā paḌā hai
kyā alāmat hai kisī qabze kī 'ābid'
ye jo mere ghar pe kuchh likkhā huā hai
wo jinhen har rah ne Thukra diya hai
manzilon ko gham unhin ka kha raha hai
mera dil hai dekhne ki chiz lekin
is ko chhuna mat ki ye TuTa hua hai
ajnabi ban kar wo milta hai unhin se
jin ko wo achchhi tarah pahchanta hai
chiKHti thi inT ek ek jis ki kal tak
aaj wo sara makan soya paDa hai
kya alamat hai kisi qabze ki 'abid'
ye jo mere ghar pe kuchh likkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.