wo jinhen zindagi na ras aai
vo jinheñ zindagī na raas aa.ī
maut bhī to na us ke paas aa.ī
apnā har din udaas udaas gayā
apnī har shab udaas udaas aa.ī
jo bhī ġham aaya be-zabān aaya
jo ḳhushī aa.ī mahv-e-yās aa.ī
dostī kā bharam khulā āḳhir
dushmanoñ se huī shanāsā.ī
vo chale aa.e haiñ ki mausam-e-gul
'soz' phūloñ se un kī baas aa.ī
wo jinhen zindagi na ras aai
maut bhi to na us ke pas aai
apna har din udas udas gaya
apni har shab udas udas aai
jo bhi gham aaya be-zaban aaya
jo KHushi aai mahw-e-yas aai
dosti ka bharam khula aaKHir
dushmanon se hui shanasai
wo chale aae hain ki mausam-e-gul
'soz' phulon se un ki bas aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.