wo jis ka hausla lafz-o-bayan mein bhi na tha
vo jis kā hausla lafz-o-bayān meñ bhī na thā
paḌā jo vaqt to vahm-o-gumān meñ bhī na thā
gayā to thā maiñ ta'alluq nibāhne us tak
ye baat alag hai vo apne makān meñ bhī na thā
ye hādisa kisī sāzish kā pesh-ḳhema hai
parinda aaj to ūñchī uḌaan meñ bhī na thā
ḳhulūs naam kā ik lafz jab talāsh kiyā
kisī kitāb kisī imtihān meñ bhī na thā
na jaane kaise harīfoñ ke zehn-o-dil pe lagā
jo tiir merī zabāñ kī kamān meñ bhī na thā
ġhazal sunī to usī ko kiyā pasand us ne
jo merā she'r taġhazzul kī shaan meñ bhī na thā
sukūn phūñs ke chhappar meñ jo milā mujh ko
yaqīn kījiye puḳhta makān meñ bhī na thā
'atā kiyā thā ḳhudā ne usī ko har e'zāz
barābar us ke koī āsmān meñ bhī na thā
jo manfa’at ke liye bech de anā apnī
'atīq' aisā mire ḳhāndān meñ bhī na thā
wo jis ka hausla lafz-o-bayan mein bhi na tha
paDa jo waqt to wahm-o-guman mein bhi na tha
gaya to tha main ta'alluq nibahne us tak
ye baat alag hai wo apne makan mein bhi na tha
ye hadisa kisi sazish ka pesh-KHema hai
parinda aaj to unchi uDan mein bhi na tha
KHulus nam ka ek lafz jab talash kiya
kisi kitab kisi imtihan mein bhi na tha
na jaane kaise harifon ke zehn-o-dil pe laga
jo tir meri zaban ki kaman mein bhi na tha
ghazal suni to usi ko kiya pasand us ne
jo mera she'r taghazzul ki shan mein bhi na tha
sukun phuns ke chhappar mein jo mila mujh ko
yaqin kijiye puKHta makan mein bhi na tha
'ata kiya tha KHuda ne usi ko har e'zaz
barabar us ke koi aasman mein bhi na tha
jo manfa’at ke liye bech de ana apni
'atiq' aisa mere KHandan mein bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.