wo jis ka nam is dil par likhaya hai
vo jis kā naam is dil par likhāyā hai
usī se raaz maiñ ne ye chhupāyā hai
bahut maġhrūr hai vo maanā ye lekin
ḳhudā us ko hī maiñ ne bhī banāyā hai
yaqīñ hai ḳhat aa jā.egā kabhī us kā
yuuñ apnā hausla maiñ ne baḌhāyā hai
samajhtā hai mohabbat ko jo be-ma.ānī
usī kā ḳhvāb is dil meñ sajāyā hai
vafā iqrār ulfat dostī sach haiñ
nagar meñ jhūTh ye kis ne uḌāyā hai
ḳhudā hairān hai insān par ab kyoñ
jagah par us kī daulat ko biThāyā hai
hai rokī maut 'qāsid' ke liye maiñ ne
kahāñ ye vaqt us ne ab lagāyā hai
wo jis ka nam is dil par likhaya hai
usi se raaz main ne ye chhupaya hai
bahut maghrur hai wo mana ye lekin
KHuda us ko hi main ne bhi banaya hai
yaqin hai KHat aa jaega kabhi us ka
yun apna hausla main ne baDhaya hai
samajhta hai mohabbat ko jo be-maani
usi ka KHwab is dil mein sajaya hai
wafa iqrar ulfat dosti sach hain
nagar mein jhuTh ye kis ne uDaya hai
KHuda hairan hai insan par ab kyon
jagah par us ki daulat ko biThaya hai
hai roki maut 'qasid' ke liye main ne
kahan ye waqt us ne ab lagaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.