wo jis ke aane hi se bazm raushni se bhar gai
vo jis ke aane hī se bazm raushnī se bhar ga.ī
kahāñ se aa.ī thī yahāñ vo kaun thī kidhar ga.ī
badan bhale hasīn thā magar tū mere vasl se
zarā to dekh aa.ine meñ kis qadar nikhar ga.ī
har ek shai huī tabāh har kisī kā dil halāk
jidhar kahīñ bhī ek dafa husn kī nazar ga.ī
maiñ filoñ meñ is qadar ka.ī dinoñ se uljhā thā
qazā bhī aa.ī intizār kar ke thak ke ghar ga.ī
amiir ke bayānoñ ko hī mānte haiñ sach sabhī
ye muflisī to dekho merā hī shikār kar ga.ī
agan baḌhānā chāhtā thā hijr kī maiñ jis qadar
udhar bahār aa.ī aur vo merā kaam kar ga.ī
wo jis ke aane hi se bazm raushni se bhar gai
kahan se aai thi yahan wo kaun thi kidhar gai
badan bhale hasin tha magar tu mere wasl se
zara to dekh aaine mein kis qadar nikhar gai
har ek shai hui tabah har kisi ka dil halak
jidhar kahin bhi ek dafa husn ki nazar gai
main filon mein is qadar kai dinon se uljha tha
qaza bhi aai intizar kar ke thak ke ghar gai
amir ke bayanon ko hi mante hain sach sabhi
ye muflisi to dekho mera hi shikar kar gai
agan baDhana chahta tha hijr ki main jis qadar
udhar bahaar aai aur wo mera kaam kar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.