wo jis ke hisse mein dard-e-jigar nahin aata
vo jis ke hisse meñ dard-e-jigar nahīñ aatā
us aadmī kī duā meñ asar nahīñ aatā
maiñ aa.ina huuñ jo dekhūñgā vo dikhā.ūñgā
fareb dene kā mujh ko hunar nahīñ aatā
ġhubār-e-rāh se bach bach ke chalne vāloñ ko
tamām umr shu.ūr-e-safar nahīñ aatā
dayār-e-zīst ko kyā ho gayā ki duur talak
udāsiyoñ ke sivā kuchh nazar nahīñ aatā
hukūmateñ mirī uñglī pe raqs kartī haiñ
ye kyā kahā ki mujhe kuchh hunar nahīñ aatā
ye vaqt aisā parinda hai jo ki ai 'aḳhtar'
jo uḌ gayā to kabhī lauT kar nahīñ aatā
wo jis ke hisse mein dard-e-jigar nahin aata
us aadmi ki dua mein asar nahin aata
main aaina hun jo dekhunga wo dikhaunga
fareb dene ka mujh ko hunar nahin aata
ghubar-e-rah se bach bach ke chalne walon ko
tamam umr shuur-e-safar nahin aata
dayar-e-zist ko kya ho gaya ki dur talak
udasiyon ke siwa kuchh nazar nahin aata
hukumaten meri ungli pe raqs karti hain
ye kya kaha ki mujhe kuchh hunar nahin aata
ye waqt aisa parinda hai jo ki ai 'aKHtar'
jo uD gaya to kabhi lauT kar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.