wo jis kitab mein chahat ka silsila nikla
vo jis kitāb meñ chāhat kā silsila niklā
varaq usī meñ ek aañsū bharā huā niklā
talāsh maiñ ne kiyā thā sukūn-e-dil ke liye
magar ye kār-e-mohabbat baḌā judā niklā
ḳhushī to aa.ī thī mehmān kī tarah lekin
ġhamoñ ke saath hamesha kā rābta niklā
vo duur thā to ye lagtā thā hai bahut nazdīk
magar qarīb se dekhā to fāsla niklā
batā rahā thā jo phūloñ kā rāsta mujh ko
usī ke paañv meñ kāñTā chubhā huā niklā
hazāroñ dard tabīboñ ne Thiik kar Daale
magar ye dard-e-mohabbat hī lā-davā niklā
ujāle dekh ke hairān haiñ merī qismat
jo mere ghar se añdheroñ kā qāfila niklā
chale ga.e bhī to kyā qahqahoñ kī mahfil meñ
mizāj apnā vahāñ bhī bujhā huā niklā
vo jī rahā hai zamāne meñ shaan se 'hānī'
vo jis ke nafs kā dāman jalā huā niklā
wo jis kitab mein chahat ka silsila nikla
waraq usi mein ek aansu bhara hua nikla
talash main ne kiya tha sukun-e-dil ke liye
magar ye kar-e-mohabbat baDa juda nikla
KHushi to aai thi mehman ki tarah lekin
ghamon ke sath hamesha ka rabta nikla
wo dur tha to ye lagta tha hai bahut nazdik
magar qarib se dekha to fasla nikla
bata raha tha jo phulon ka rasta mujh ko
usi ke panw mein kanTa chubha hua nikla
hazaron dard tabibon ne Thik kar Dale
magar ye dard-e-mohabbat hi la-dawa nikla
ujale dekh ke hairan hain meri qismat
jo mere ghar se andheron ka qafila nikla
chale gae bhi to kya qahqahon ki mahfil mein
mizaj apna wahan bhi bujha hua nikla
wo ji raha hai zamane mein shan se 'hani'
wo jis ke nafs ka daman jala hua nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.