wo jis ne Dhaal diya barf ko sharare mein
vo jis ne Dhaal diyā barf ko sharāre meñ
maiñ kab se soch rahā huuñ usī ke baare meñ
na jaane niiñd se kab ghar ke log jāgeñge
ki ab to dhuup chalī aa.ī hai osāre meñ
maiñ jaag jaag ke shab bhar use talāshtā huuñ
likhā huā hai mirā naam ik sitāre meñ
khilegī dhuup to vaadī kā rañg nikhregā
abhī to os kī ik dhund hai nazāre meñ
kabhī dimāġh ko ḳhātir meñ ham ne laayā nahīñ
ham ahl-e-dil the hamesha rahe ḳhasāre meñ
'talab' ye soch ke lag jaa.e na zabān meñ zañg
kisī se baat maiñ kartā nahīñ ishāre meñ
wo jis ne Dhaal diya barf ko sharare mein
main kab se soch raha hun usi ke bare mein
na jaane nind se kab ghar ke log jagenge
ki ab to dhup chali aai hai osare mein
main jag jag ke shab bhar use talashta hun
likha hua hai mera nam ek sitare mein
khilegi dhup to wadi ka rang nikhrega
abhi to os ki ek dhund hai nazare mein
kabhi dimagh ko KHatir mein hum ne laya nahin
hum ahl-e-dil the hamesha rahe KHasare mein
'talab' ye soch ke lag jae na zaban mein zang
kisi se baat main karta nahin ishaare mein
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 147)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.