wo jis taraf bhi muKHatib dikhai deta hai
vo jis taraf bhī muḳhātib dikhā.ī detā hai
tamām shahr usī jānib dikhā.ī detā hai
na jaane karb hai kaisā mere takallum meñ
udaas merā muḳhātib dikhā.ī detā hai
ta.alluqāt kī dīvār kaise puḳhta ho
ḳhulūs ek hī jānib dikhā.ī detā hai
milā hai jis kī jabīñ par nishān-e-ḳhāk vo shaḳhs
urūj-e-zāt kā tālib dikhā.ī detā hai
wo jis taraf bhi muKHatib dikhai deta hai
tamam shahr usi jaanib dikhai deta hai
na jaane karb hai kaisa mere takallum mein
udas mera muKHatib dikhai deta hai
talluqat ki diwar kaise puKHta ho
KHulus ek hi jaanib dikhai deta hai
mila hai jis ki jabin par nishan-e-KHak wo shaKHs
uruj-e-zat ka talib dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.