wo jis zaban se mohabbat ki bu nahin aati
vo jis zabāñ se mohabbat kī bū nahīñ aatī
vo laakh baat kare guftugū nahīñ aatī
hamesha maiñ ne bhigoyā hai apne dāman ko
tumhārī yaad kabhī be-vuzū nahīñ aatī
jahāñ riyā kā samundar ho maujzan har dam
vahāñ ḳhulūs kī phir āb-jū nahīñ aatī
ye vasf-e-ḳhās qanā.at kā hai atā-karda
zabāñ pe mere kabhī aarzū nahīñ aatī
wo jis zaban se mohabbat ki bu nahin aati
wo lakh baat kare guftugu nahin aati
hamesha main ne bhigoya hai apne daman ko
tumhaari yaad kabhi be-wuzu nahin aati
jahan riya ka samundar ho maujzan har dam
wahan KHulus ki phir aab-ju nahin aati
ye wasf-e-KHas qanaat ka hai ata-karda
zaban pe mere kabhi aarzu nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.