wo jo ab dil ki rahguzar mein nahin
vo jo ab dil kī rahguzar meñ nahīñ
vaqt kahtā hai maiñ safar meñ nahīñ
merī dīvāngī bhī ḳhatm huī
tere jalve bhī ab nazar meñ nahīñ
kyā ġham-e-yār kyā ḳhayāl-e-bahār
aaj saudā bhī koī sar meñ nahīñ
ham sā kyā hogā koī be-sāmāñ
haa.e nām-e-ḳhudā bhī ghar meñ nahīñ
vaj.h-e-rusvā.ī hai yahāñ har baat
aib meñ kyā hai jo hunar meñ nahīñ
maiñ huuñ tere jamāl se sozāñ
apnā kuchh tābish-e-qamar meñ nahīñ
ek dīvār-e-tīrgī ke sivā
koī manzar bhī 'arsh' dar meñ nahīñ
wo jo ab dil ki rahguzar mein nahin
waqt kahta hai main safar mein nahin
meri diwangi bhi KHatm hui
tere jalwe bhi ab nazar mein nahin
kya gham-e-yar kya KHayal-e-bahaar
aaj sauda bhi koi sar mein nahin
hum sa kya hoga koi be-saman
hae nam-e-KHuda bhi ghar mein nahin
wajh-e-ruswai hai yahan har baat
aib mein kya hai jo hunar mein nahin
main hun tere jamal se sozan
apna kuchh tabish-e-qamar mein nahin
ek diwar-e-tirgi ke siwa
koi manzar bhi 'arsh' dar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.