wo jo apne the wahi ho gae harjai bhi
vo jo apne the vahī ho ga.e harjā.ī bhī
baat peshānī pe likkhī huī pesh aa.ī bhī
dil to pahle hī thā mahsūr-e-ġham-e-tanhā.ī
us pe dharnā diye baiThī hai ye purvā.ī bhī
jis taraf ruḳh ho havā kā ye barastī hai vahīñ
abr kī tarh se hotī hai shanāsā.ī bhī
dil ko rahtī bhī hai ab mahfil-e-yārāñ kī talāsh
aur tabī.at hai ki us bazm meñ ghabrā.ī bhī
wo jo apne the wahi ho gae harjai bhi
baat peshani pe likkhi hui pesh aai bhi
dil to pahle hi tha mahsur-e-gham-e-tanhai
us pe dharna diye baiThi hai ye purwai bhi
jis taraf ruKH ho hawa ka ye barasti hai wahin
abr ki tarh se hoti hai shanasai bhi
dil ko rahti bhi hai ab mahfil-e-yaran ki talash
aur tabiat hai ki us bazm mein ghabrai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.